Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Computer Se Mobile Me Koi Bhi File Bina Data Cable Ke Aise Send Karen

Welcome Guys Www.AllHindiEdcation.in Me Apka Hardik Swagat Hai. Dosto Aaj Main Apke Samne Bahut Hi Zaroori Jaankari Lekar Hazir Hua Hun. Aajkal Lagbhag Hamare Sabhi Ke Pas Laptop Hoga Kyunki Laptop or Computer to insan Ki Zaroorat Ban Gyi Hai. Aaj mai isi se related post aapke samne lekar hazir hua hun. Chalo ab seedhe point par aate hain.

Mobile to laptop send file without data cable
Easily Transfer Any File Mobile to Pc over Wifi

Agar Aap Computer or Laptop Ka istemal Kar Rahe Hain or Aapko Apne computer se apne photos ya koi badi file apne phone me transfer karna hai Ya fir apne phone se koi file computer me lena chahte hain or aap data cable ka istemal nahi karna chahte to ye post aapne bahut kaamki hai. Actually Ham Daily apne phone se koi na koi photo click kar lete hain fir usko laptop me lene ke liye baar baar data cable ka use karna padta hai isliye aapko isse bachne ka tarika batane ja rha hun.
Follow these steps (in Steps ko Follow Karen)

1. Apne Phone Se Wifidroid Application Download Karen.

2. Apne Mobile Phone Ka Hotspot on Kar Den.

3. Apne Computer/Laptop Ko Mobile ke Hotspot Se Connect kar len.

4. Wifidroid Application ko Open karen.


5. Ab Start service par click karen.

6. Apki Mobile Phone screen par is type ka ip adress show hoga. 


7. Apne Computer/Laptop me Koi Bhi browser open karen or is Adress ko enter karen.


Ab Apke phone ka file manager apke Samne open ho gya hai. Yahan aap apne phone se koi bhi file Laptop me aasani se transfer kar sakte Hain. Transfer hi nhi balki apne phone ki koi bhi file aap computer se delete kar sakte hain, or rename bhi kar sakte hain. Is app ki setting me jakar aap password bhi set kar sakte hain.

Wifidroid Application kaise kaam karti Hai?

Ye app fully wifi ke dwara kaam karti hai iske dwara aap unlimited file Pc to mobile and mobile to pc easily transfer kar sakte hain. Or apko baar baar data cable connect karne ki problem se bhi chhutkara mil jayega dhyan rhe ye app bilkul free of cost hai Apko Iske liye apko data on karne ki bilkul bhi zaroorat nahi hai.

Post se related apni queries Hame comment box Me Post karen. Thanks

0 comments:

Post a Comment