Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Google Adsense Se Payment Kaise Prapt Karen

Google adsense bahut bada advertisement platform hai. Jahan par badi badi companies adverise ke liye google ko paisa deti hain or jab ham apni website par koi adsense add lagate hain to google hame uska payment karta hai. google se payment lena zyada mushkil bhi nhi. iske liye apko is post ko dhayan se padne ki zaroorat hai. agar aap youtube se earning kar rahe hain ya fir apne kisi blog/website se paisa kama rahe hain lekin apko payment ko lekar confusion hai to yahan apke sare confusion door kiye jayenge.

Adsense payment full guide in hindi
How to recieve adsense payment full guide.
Full Adsense Knowledge from Start.
adsense se payment lene ke liye sabse pehle apko bata den ki google adsense minimum 100$ payment karta hai. usse kam payment apko nahi mil payega. agar apke adsense account me 100$ complete ho chuke hain or aap apna payment apne bank account me lena chahte hain to apko sabse pehle apna adsense pin verify karana hoga. pin verify karne ke liye maine already post likhi hai. Google adsense pin 5 min me kaise verify karen. pin verification ka option tab aata hai jab apke account me 10$ ho jate hain. apko nottification aana shuru ho jayega. pin se related apke sabhi questions ke answer apko hamari adsense pin verification wali post me mil jayenge




Adsense Pin verification ke bad kya karen.

Apke adsense account ka pin succesfully verify ho jane ke baad apko payment method select karna hoga. india me sabse best hai aap wire transfer choose karen. apko sabse pehle adsense login karne ke bad payment option me jana hoga. uske bad apko payment method select karna hoga. jisme aap wire transfer select kar denge.
after that apke samne ek form open ho jayega jo ki bahut hi dhyan se or sahi bharen.

Adsense me bank detail kaise fill karen?

wire transfer select karne ke bad apse kuch detail puchi jayegi. sabse pehle apna sahi naam bhare jo apke adsense account me or bank account me hai. naam same hona chahiye. bank account detail me apna account number fill karen. apse apki bank ka IFSC code pucha jayega IFSC code Bilkul sahi bharen. apko apni bank ka swift code bharna hoga.
dhayan den har branch ka swift code nhi hota. Har city me ek corporate branch hoti hai. jaise ki maan lijiye apka account Uttar Pradesh Ke Lucknow District ke State Bank of India me hai. lucknow me sbi ki agar 4 branch hain to sabka swift code alag nahi hoga balki jo corporate branch ya fir city ki main branch hogi swift code bhi us branch ka hi hoga.

Swift code aap main branch ka fill kar sakte hain. zyadatar big city me to swift code ki problem nhi hoti lekin chhote chhote sheharo me log confused ho jate hain. Agar apko apke bank ka swift code nahi mil raha to mujhe comment me apni bank or branch ka adress likhen main apko swift code dunga. second option aap direct branch manager se contact kar sakte hain wo apko swift code dene me madad karenge.

Also read: USSD Code Se Bank Balance Aise Check Karen

wire transfer payment method form submit karne ke bad apko adsense ki or se ek email recieved hoga. jisme likha hoga apki payment detail save ho chuki hai. ab aap sochte honge ki apka payment kab aayega. form submit hone ke baad first payment apka immediate apke bank account me send kar diya jayega. payment apke bank account me 5 working days ke andar mil jayega. agar 5 working days ke andar apka payment nhi milta hai to aap directly apne bank jakar branch manager se contact kar sakte hain. dhyan rahe bank me kisi or ke pas na jayen balki branch manager se hi contact karen. apka payment 100% apko mil jayega. kyunki first time me bank directly apke account me money credit nahi karti balki apse kuch inquiry karegi. apko bank call bhi kar sakti hai.

Adsense se payment kis date ko aata hai?

Google adsense every month 21th ko payment released karta hai. or 5 business days ke andar apka payment apke bank account me credit kar diya jata hai. agar apka payment 5 din me nahi milta to apko ghabrane ki zaroorat nahi hai kyunki kuch cities me payment late pahuch pata hai. isliye google ne 15 days intezar karne ke liye kaha hai. agar 15 days me bhi apka payment nhi milta to aapki detail mismatch hai ya fir bank account sahi nahi hai hai, swift code match nhi ho rha koi bhi problem ho sakti hai. iske liye apko apne bank account ki detail change karna hogi. or 15 days baad payment reissue ke liye form fillup karna hoga.  apko apka payment adsense ke rules ke according apko mil jayega. ek baat ko apne man me bitha len ki adsense se kabhi apka paisa nahi marta. payment me apki taraf se hi problem hoti hai google apko payment time par karta hai. ummid hai apko is post se kuch to help mili hogi.

Payment se related abhi bhi apke man me bahut sare issues honge to aap hame comment ke zariye puchh sakte hain.
Thank you for reading.

1 comment: