Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Xiaomi Redmi Prime 2 Mic Problem Solved Hindi

Aap xiaomi ka handset use kar rhe hain or apke Phone Ka Mic thik se kaam nahi kar rha to aap is post ko dhyan se read karen. Dosto xiaomi redmi prime 2 me hazaro log ye shikayat kar rahe hain ki unke phone ka mic kaam nahi kar rha, jab bhi wo apne kisi friend ko call karte hain to aawaz proper nahi jaati, agar aapke sath bhi yahi problem ho rahi hai, jab aap kisi ko phone karte hain to aawaz to jaati hai lekin bahut kam. aaj ham apke liye isi samasya ka ilaaj lekar aaye hain.
Xiaomi redmi prime 2 mic problem solve
Redmi Prime 2 Mic Problem Solved
Sabse pehle aapko apne phone ke mic ka test karna hoga, dekhna hoga kahi apka mic sach me to kharab nahi ho gya. Iske liye apko apne phone ke recorder me jakar voice record karke dekhna hai, agar apke phone me recorded voice clear sunai de rahi hai or call par bahut low voice jaati hai. To aapke phone ka mic bilkul thik hai or apko mic badalwane ki zaroorat nahi. Aap apne phone ka mic test ek doosre tareeke se bhi kar sakte hain iske liye apko apne phone ki settings me jaana hoga, next last me about phone me jaana hoga, uske baad Kernal Version par apko continue three times tap karna hai, uske baad apko engineer mode ka option show hoga. Aap wahan click karke apne phone ka mic test karke sakte hain. Agar apke phone ke mic ka result success aa rha hai to apko service center jaane ki zaroorat nahi. Aapko simple se steps follow karna hai aapki problem ka soulution ho sakta hai.

Follow these steps.

  • Go to google setting (Not Phone settings)
  • Click on Search Now option.
  • Then click on Voice.
  • After that you will see ok google detection and click.
  • Start voice search from the google app Isko Turn off kar den.

Simple Hai Aapke Phone me Ok Google detection ki app hoti hai jisme aap bolkar kuch bhi search kar sakte hain. Aapko bas karna itna hai upar diye steps ko follow karke usko turn off karna hai.

Ya fir aap phone ki settings me jayen, uske baad my apps me jayen,
Downloaded app me apko google app show hogi usko open karen. Niche ki side me ap permission manager me jayen.
Wahan apko ek option dikhega record audio usko uncheck kar den. Or apne phone ko restart kar den. Iske baad bilkul aap kisi ko bhi call karenge to apki voice clearly jayegi.

Agar apko ye problem dobara aaye to aap apne phone se Koi bhi ek sim hamesha ke liye nikal de. Dobara problem nahi aayegi.. agar aap sim nahi nikalna chahte to ek or tareeka hai jisse aap kisi bhi friend ko call karenge to voice ek dam clear jayegi. Uske liye apko apne phone ko Loudspeaker par daal ke baat karni hogi. Kyunki hamare phone me Dual mic hota hai, jab ham apne phone ko Loudspeaker par daal lar baat karte hain to back mic kaam karne lagta hai jisse aapki problem kaafi had tal solve ho jayegi.
Agar mic se related kabhi bhi koi bhi problem aaye to aap apne phone ko ek baar restart kar len tab tak apke phone ka mic thik kaam karta rahega jab tak aap network settings ya fir internet sim setting na chedenge.

Ummeed hai ye tricks Xiaomi users Ya Redmi Prime 2 user ke kaam aayi hogi. Agar aapko kuch doubts hain ya fir kuch samajh nahi aaya to niche comments me likh dijiye. Ham jald hi apko reply karenge.

Good bye...

0 comments:

Post a Comment