Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by · 1 comment:

Google Adsense Se Payment Kaise Prapt Karen

Google adsense bahut bada advertisement platform hai. Jahan par badi badi companies adverise ke liye google ko paisa deti hain or jab ham apni website par koi adsense add lagate hain to google hame uska payment karta hai. google se payment lena zyada mushkil bhi nhi. iske liye apko is post ko dhayan se padne ki zaroorat hai. agar aap youtube se earning kar rahe hain ya fir apne kisi blog/website se paisa kama rahe hain lekin apko payment ko lekar confusion hai to yahan apke sare confusion door kiye jayenge.

Adsense payment full guide in hindi
How to recieve adsense payment full guide.
Full Adsense Knowledge from Start.
adsense se payment lene ke liye sabse pehle apko bata den ki google adsense minimum 100$ payment karta hai. usse kam payment apko nahi mil payega. agar apke adsense account me 100$ complete ho chuke hain or aap apna payment apne bank account me lena chahte hain to apko sabse pehle apna adsense pin verify karana hoga. pin verify karne ke liye maine already post likhi hai. Google adsense pin 5 min me kaise verify karen. pin verification ka option tab aata hai jab apke account me 10$ ho jate hain. apko nottification aana shuru ho jayega. pin se related apke sabhi questions ke answer apko hamari adsense pin verification wali post me mil jayenge




Adsense Pin verification ke bad kya karen.

Apke adsense account ka pin succesfully verify ho jane ke baad apko payment method select karna hoga. india me sabse best hai aap wire transfer choose karen. apko sabse pehle adsense login karne ke bad payment option me jana hoga. uske bad apko payment method select karna hoga. jisme aap wire transfer select kar denge.
after that apke samne ek form open ho jayega jo ki bahut hi dhyan se or sahi bharen.

Adsense me bank detail kaise fill karen?

wire transfer select karne ke bad apse kuch detail puchi jayegi. sabse pehle apna sahi naam bhare jo apke adsense account me or bank account me hai. naam same hona chahiye. bank account detail me apna account number fill karen. apse apki bank ka IFSC code pucha jayega IFSC code Bilkul sahi bharen. apko apni bank ka swift code bharna hoga.
dhayan den har branch ka swift code nhi hota. Har city me ek corporate branch hoti hai. jaise ki maan lijiye apka account Uttar Pradesh Ke Lucknow District ke State Bank of India me hai. lucknow me sbi ki agar 4 branch hain to sabka swift code alag nahi hoga balki jo corporate branch ya fir city ki main branch hogi swift code bhi us branch ka hi hoga.

Swift code aap main branch ka fill kar sakte hain. zyadatar big city me to swift code ki problem nhi hoti lekin chhote chhote sheharo me log confused ho jate hain. Agar apko apke bank ka swift code nahi mil raha to mujhe comment me apni bank or branch ka adress likhen main apko swift code dunga. second option aap direct branch manager se contact kar sakte hain wo apko swift code dene me madad karenge.

Also read: USSD Code Se Bank Balance Aise Check Karen

wire transfer payment method form submit karne ke bad apko adsense ki or se ek email recieved hoga. jisme likha hoga apki payment detail save ho chuki hai. ab aap sochte honge ki apka payment kab aayega. form submit hone ke baad first payment apka immediate apke bank account me send kar diya jayega. payment apke bank account me 5 working days ke andar mil jayega. agar 5 working days ke andar apka payment nhi milta hai to aap directly apne bank jakar branch manager se contact kar sakte hain. dhyan rahe bank me kisi or ke pas na jayen balki branch manager se hi contact karen. apka payment 100% apko mil jayega. kyunki first time me bank directly apke account me money credit nahi karti balki apse kuch inquiry karegi. apko bank call bhi kar sakti hai.

Adsense se payment kis date ko aata hai?

Google adsense every month 21th ko payment released karta hai. or 5 business days ke andar apka payment apke bank account me credit kar diya jata hai. agar apka payment 5 din me nahi milta to apko ghabrane ki zaroorat nahi hai kyunki kuch cities me payment late pahuch pata hai. isliye google ne 15 days intezar karne ke liye kaha hai. agar 15 days me bhi apka payment nhi milta to aapki detail mismatch hai ya fir bank account sahi nahi hai hai, swift code match nhi ho rha koi bhi problem ho sakti hai. iske liye apko apne bank account ki detail change karna hogi. or 15 days baad payment reissue ke liye form fillup karna hoga.  apko apka payment adsense ke rules ke according apko mil jayega. ek baat ko apne man me bitha len ki adsense se kabhi apka paisa nahi marta. payment me apki taraf se hi problem hoti hai google apko payment time par karta hai. ummid hai apko is post se kuch to help mili hogi.

Payment se related abhi bhi apke man me bahut sare issues honge to aap hame comment ke zariye puchh sakte hain.
Thank you for reading.
Read More
by · No comments:

Youtube Videos Par Subscribe Button Kaise Lagayen

Dosto All Hindi Education par apka swagat hai. yahi aap koi youtube channel chala rhe hain or apke channel par subscriber bahut kam hai to ye post apke zaroor kaam ayega. Ham apne youtube channel par subscriber badane ke liye bahut sare tareeke apnate hain, aapne dekha hoga bahut sare aise channel hote hain jinpar jab ham videos play karte hain to wahan subscribe ka button bhi show hota hai jahan se ham usko directly subscribe kar sakte hain. Ye subscriber badane ka zabardast tarika hai aaiye jante hain. hame ummid hai aap bhi bahut saari mehnat kar rahe hain apne youtube channel par lekin apke channel par subscribe bahut kam hai to nirash hone ki zaroorat nhi aap niche di gyi tips ko follow karen.
how to put subscribe button on youtube videos
How to Encrese subscriber on youtube hindi.


Aapne internet subscribe badane wale bahut se post pade honge, lekin mujhe lagta hai ye tarika sabse best hai. kyunki kisi bhi viewer ko apki video pasand aayegi to wo video dekhte huye hi subsccribe kar dega. Aiye Jante Hain Kaise aap youtube ki sabhi video par ek sath subscribe button kaise lagayen. 

Follow these Steps: -

◆  Sabse Pehle apna youtube channel login karen or My Channel par jayen.
◆  Uske Baad video manager par click karen,


◆  then left side me channel par click karen

◆  ab Branding par click karen.


◆  Branding ke Baad Add Watermark Par jayen.


◆  Kuch is tarah ka Page open hoga ab yahan aap dhyan den ki jo bhi image upload karen wo .png ya fir .GIF format me hona chahiye. or 1 MB se upar na ho.

yahan par upload karne ke baad next page open hoga wahan par aapse pucha jayega ki aap is button ko video ke shuru me dikhana chahte hain ya last me, ya fir poori video me dikhana chah rahe hain. wahan aap entire video select kar den jisse koi bhi aapki video play karega to subscribe button video par show hota rahega jahan se koi bhi aapka channel bahut aasani se subscribe kar sakta hai.

Iske bahut saare fayde hain. jaise ki aap apni video ke subscriber bada sakte hain ya fir apni video ko branded bana sakte hain. Ham ummid karte hain ki apko bataya gya tarika samajh aagya hoga. agar apko koi problem ho rhi hai to aap hame niche comment kar sakte hain, ham apki problem ko solve karenge.
Read More
by · No comments:

Xiaomi Redmi Prime 2 Mic Problem Solved Hindi

Aap xiaomi ka handset use kar rhe hain or apke Phone Ka Mic thik se kaam nahi kar rha to aap is post ko dhyan se read karen. Dosto xiaomi redmi prime 2 me hazaro log ye shikayat kar rahe hain ki unke phone ka mic kaam nahi kar rha, jab bhi wo apne kisi friend ko call karte hain to aawaz proper nahi jaati, agar aapke sath bhi yahi problem ho rahi hai, jab aap kisi ko phone karte hain to aawaz to jaati hai lekin bahut kam. aaj ham apke liye isi samasya ka ilaaj lekar aaye hain.
Xiaomi redmi prime 2 mic problem solve
Redmi Prime 2 Mic Problem Solved
Sabse pehle aapko apne phone ke mic ka test karna hoga, dekhna hoga kahi apka mic sach me to kharab nahi ho gya. Iske liye apko apne phone ke recorder me jakar voice record karke dekhna hai, agar apke phone me recorded voice clear sunai de rahi hai or call par bahut low voice jaati hai. To aapke phone ka mic bilkul thik hai or apko mic badalwane ki zaroorat nahi. Aap apne phone ka mic test ek doosre tareeke se bhi kar sakte hain iske liye apko apne phone ki settings me jaana hoga, next last me about phone me jaana hoga, uske baad Kernal Version par apko continue three times tap karna hai, uske baad apko engineer mode ka option show hoga. Aap wahan click karke apne phone ka mic test karke sakte hain. Agar apke phone ke mic ka result success aa rha hai to apko service center jaane ki zaroorat nahi. Aapko simple se steps follow karna hai aapki problem ka soulution ho sakta hai.

Follow these steps.

  • Go to google setting (Not Phone settings)
  • Click on Search Now option.
  • Then click on Voice.
  • After that you will see ok google detection and click.
  • Start voice search from the google app Isko Turn off kar den.

Simple Hai Aapke Phone me Ok Google detection ki app hoti hai jisme aap bolkar kuch bhi search kar sakte hain. Aapko bas karna itna hai upar diye steps ko follow karke usko turn off karna hai.

Ya fir aap phone ki settings me jayen, uske baad my apps me jayen,
Downloaded app me apko google app show hogi usko open karen. Niche ki side me ap permission manager me jayen.
Wahan apko ek option dikhega record audio usko uncheck kar den. Or apne phone ko restart kar den. Iske baad bilkul aap kisi ko bhi call karenge to apki voice clearly jayegi.

Agar apko ye problem dobara aaye to aap apne phone se Koi bhi ek sim hamesha ke liye nikal de. Dobara problem nahi aayegi.. agar aap sim nahi nikalna chahte to ek or tareeka hai jisse aap kisi bhi friend ko call karenge to voice ek dam clear jayegi. Uske liye apko apne phone ko Loudspeaker par daal ke baat karni hogi. Kyunki hamare phone me Dual mic hota hai, jab ham apne phone ko Loudspeaker par daal lar baat karte hain to back mic kaam karne lagta hai jisse aapki problem kaafi had tal solve ho jayegi.
Agar mic se related kabhi bhi koi bhi problem aaye to aap apne phone ko ek baar restart kar len tab tak apke phone ka mic thik kaam karta rahega jab tak aap network settings ya fir internet sim setting na chedenge.

Ummeed hai ye tricks Xiaomi users Ya Redmi Prime 2 user ke kaam aayi hogi. Agar aapko kuch doubts hain ya fir kuch samajh nahi aaya to niche comments me likh dijiye. Ham jald hi apko reply karenge.

Good bye...

Read More
by · No comments:

Fake SMS Kaise or Kyun Bhejen

Fake SMS Yaani Farzi msg. Aap kisi bhi number se apne mobile me SMS received kar sakte hain. Or bina kisi ko msg send kiye aap msg ko sent message me show kar sakte hain. SMS bilkul real messege ki tarah hi hoga. Iske liye apke paas Android phone hona chahiye. Others smartphone jaise Apple iphone, Blackberry etc ki app alag se aati hai ho sakta unki app bhi internepar available ho abhi mai apko android app ke bare me bataunga jiske dwara aap apne android phone se Kisi ko bhi Fake SMS easily bhej sakte hain.

Fake SMS kaise Bhejen?
Fake SMS Kaise Bhejen?

Fake SMS Kyun Bhejen?

Ho sakta hai aap apne kisi dost ke sath mazaq karna chahte ho. Ya fir usko bewakoof banana chahte ho ki aapki lottery lag gyi ya koi moti rakam apko inaam me mili hai aise me kuch hi der ke liye sahi aap unhe SMS dikha kar prank kar sakte hain. Ho sakta hai office me apke boss ne apko kaam diya or aap apke boss ne apko kaam diya or aap karna bhool gye aise me kuch hi der ke liye sahi aap fake SMS dikha kar musibat se bach sakte hain. Ye bhi ho sakta hai aap kisi ko impress karna chahte ho to bhi aap is trick ka istemal kar sakte hain.

Follow these steps:-

  • Sabse pehle apne mobile phone ke play store me jayen or Fake Text Messege Type Karen or Application is ko install karen.
How to prank someone by sending Fake SMS
How to prank someone by sending Fake SMS?
  • Ab Fake Text Messege application ko open karen aisa page open hoga.
Make fake sms on android phone
Fake Text Message Application
  • Ab aap jis number se Fake SMS recieve karna chahte hain wo number enter karen.
  • Jis Date ka aap msg chahte hain wo date or time enter karen.
  • Apko msg inbox me lena hai ya sent me dikhana hai ye set karen. 
  • Ab apna SMS type karke fake par click kar den.
Inbox me jakar aap check kar sakte hain jis date or time ka aapne msg set kiya tha or jo text dala tha same SMS aapke msg box me aagya hai. Ab ye sms aap kisi ko dikha kar unko prank kar sakte hain.

Fake Text Messege App Kaise Kaam Karti Hai?

Ye application apke dwara set kiye gye SMS ko apke phone ke andar generate kar deti hai. Isme aapka koi charge nhi lagega kyunki ye ek nakli SMS Hai. Aap yahan unlimited sms bana sakte hain. Apko iske liye koi bhi paise nhi dene honge. Iska Sim card se bhi koi connection nhi hai.

Ek baat ka khas khayal rakhen. Is Fake SMS app ka missuse na karen. Agar isse kisi ka nuqsan hota hai ya kisi ko chot pahuchti hai to aisa mazaq mat kijiye. Ye sirf pranks ke liye hai isliye iska soch samajhkar istemal karen.  Thanks.
Read More
by · No comments:

Youtube Par Ek Se Zyada Channel Kaise Banayen

Agar aapke paas ek youtube channel hai aap us par bahut saari video upload karte hain lekin agar aap dusra channel banana chah rhe hain wo bhi same account se to bilkul aap bana sakte hain iske liye apko alag alag gmail account ki requirement nhi padegi. Aap jis id se first youtube channel use kar rahe hain usi se hi aap another Channel bana sakte hain. Kuch saal pehle agar apko dusra YouTube channel banana hota tha to apko alag google account ki zaroorat padti thi lekin ab aisa nhi hai.

Multiple youtube account create easy
How to create Multiple youtube channel with single account.
Youtube par Kitne Channel Bana Sakte Hain?
Dekhiye Aisi to Koi Limit Hai Nhi. Aap jitne chahe youtube channel bana sakte hai lekin har channel par apko shuruat se kaam karna padega. Or usko Famous karne me bahut samay bhi lag sakta hai aapko shuru se kaam karne liye bahut zyada mehnat karna padegi.

Kya Multiple Youtube Channel Ko Ek Hi Adsense Account Se Connect Kar Sakte Hain?
G Haan Aap Ek Hi Adsense account se multiple youtube channel link kar sakte Hain or unse paise kama sakte hain. Iske liye apko har channel ko alag se phone number dal kar verify karana hoga. Jab aap koi dusra channel create karenge toh aapko apna channel verify karne ke liye aapka phone number puchha jayega. Dhayan Rakhen one year me 1 phone number se aap sirf aap 2 youtube channel verify kara sakte hain. Agar aap 2 se zyada youtube channel banayenge to apko koi dusra phone number istemal karna hoga.

 Jis tarah se aapne pehle wala channel adsense ke sath joda tha thik usi tarah se aap dusra channel bhi adsense ke sath jod kar paise kama sakte hain. Agar apka adsense account band hua to saare channel se earning hona band ho jayegi. Or koi paise nhi banenge.

Follow these steps for create multiple youtube channel on single google account.
  • Sabse Pehle http://www.youtube.com Par Jayen or apna account login karen.
  • Ab top right me apni profile pic par click karen. Wahan settings option dikhai dega us par click karen.
Youtube channel settings
  • Ab is tarah ka Page khulega wahan likha hoga see my all channel or create a new channel par click karen.
Create many youtube channel
  • Yahan par apko apne existing youtube channel dikhenge aap yahan create a new channel par click karke ek naya Channel khol sakte hain.

New channel create karne ke baad aapko usko verify karana hoga jiske liya aap youtube ke home page par jayen or My Channel par click karen. Uske Baad aap video manager me jayen or channel par click karen. Yahan aap apne mobile number ke threw apne channel ko verify kar sakte hain.

Youtube par channel banana or usko Famous karna itna bhi aasan nhi hai. Isliye aapko suggest karunga pehle aap ek channel ko ki bada karne me mehnat karen. Agar aap 2 youtube channel ki zimmedari sambhal sakte hain toh dusra channel banane me koi harz nhi. Iske liye apko bahut zyada mehnat krne ki zaroorat padegi.

Thank you for reading this article. If you have any doubt about this post. you can write us in below comment box.

Read More
by · No comments:

Mobile Phone Kho Jane Par Ye Kaam Karen

Dosto Hamare Sath Aksar Aisa Hota Hai Ki Ham Apne Phone Ko Kahi Par Rakh Kar Bhool Jaate Hain, Ya Fir Phone Lost Ho Jaata Hai. Ham Complaint to Likha Dete Hain or Apna Number Bhi Band Kara Dete Hain. Or Haar Maan Jaate Hain. Mai Aapse Kehna Chahunga Koshish Karne Me Kuch Nahi Jaata. Agar Ham Chahen to Kuch Bhi Ho Sakta Hai.

Lost hua phone aasani se jaane
How to Find Your Lost Mobile Phone in Hindi
Agar Aapka Phone Ghum Gya Hai. Ya fir Aap Apne Phone Ko Rakhkar Bhool Gye Hain to Ye Trick Aapke Bahut Kaam Aayegi. Lagbhag Sabhi Log Apne Phone me Internet Ka Istemal Karte Hai or Jab Hamara Phone Kho Jata Hai to Hame ye Dar Laga Rehta Hi Koi Hamari Personal information Ka Misuse na Kare. Jaise Ki Hamara Facebook Account, Whatsapp, Gmail, Photo Gallery, Phone book or Bhi Bahut Saari Jankari jo Aap Kisi ko Share Nahi Karna Chahte.

Aapka Phone Kho Jaane Par Bhi Aap in Tamam Chizo Ko Ghar Baithe  Delete Kar Sakte Hain. Or Apne Smartphone Ka Data Restore Bhi Kar Sakte Hain.

Chori Hua Mobile Phone Aise Dhunde.

Aajkal Technology Bahut Hi Advance Hai. Duniya Me Jitne Bhi Galat Kaam Ho Rahe Hain Uska Solution Bhi Zaroor Hota Hai. Phone Ghum Jane Ki Situation Me Google Aapki Madad Karega. Sabse Pehle Aap Google Me Android Device Manager Karen or First Link Par Jaayen. Ya Fir Yahan Click Karen. Uske Baad Site open Ho Jayegi Yahan Aapke Phone Se Related Bahut Saari Information Dekhne Ko Milegi. Isi Ki Madad Se Aap Apna Khoya hua Phone Search Kar Sakte Hain. Bas Shart Ye Hai Ki Apke Phone Me Internet on Hona Chahiye. Bina Data on Kiye Ye Trick Kaam nahi Karegi. Jab Aap Android Device Manager Par Jayenge to Aapke Phone Ki Location aapko Dikhne lagegi. Or Aap Us jagah Jakar Apna Phone Wapas Le Sakte Hain


1. Sabse Pehle Aapko Ring Ka Option Dikhai Dega. Agar Aap Apna Phone Ghar Me Hi Kahi Par Rakhkar Bhool Gye Hain or Mobile Number Par Call Nahi Lag Rahi to Ring Button Par Click Karen Kuch Hi Der Me Apke Phone ki Ring Bajne Lagegi. Agar Apka Phone Silent Mode Par Bhi Hai to Bhi Aapka Mobile Bajne Lagega or Aap Apna Phone Search kar Payenge.

2. Second Option Lock Ka Diya Hua Hai. Ye Bahut Hi Kaam Ka Hai Jiski Madad Se Aap Apna Khoya Hua Phone Lock Kar Sakte Hain. Jab Aap Lock Button Par Click Karenge Wahan Aapse Password Puchha Jayega Jiski Madad Se aap Phone Lock Kar Apna Data Secure kar Sakte Hain. Chor Jab Phone Churata hai to Turant Phone ko Swiched off Kar Leta Hai. Lekin Jab Bhi Wo Phone On karega or internet Chalane ki Koshish Karega to uska Phone Lock Ho Jayega Fir Koi Apke Phone ko Access Nhi Kar Payega.

3. Third Option Erase Hai. Hamare Phone Ki Security ke Liye Bahut Zaroori Hai. Kyunki Hamare Phone Me bahut Saari Id Login Hoti Hain. Ya fir Kuch Personal Information Save hoti Hai. Jab Aap Erase Par Click Karenge to Apke Phone Ka Saara Data Automatically Delete Ho Jayega. Phone New Ki Tarah Ho Jayega. Fir Aapki Koi Bhi Information Wo Nhi Dekh Payega Jisne apka Phone Chori Kiya Hai.

Phone Chori Ho Jane Par Ye Tareeka Zaroor Apnaye Taaki aap Apna Phone Wapas Pa Sake. Or Apni Personal Chizo ko Secure Kar Sake.

Phone Chori Hone Se Bachne Ka Upay

Ham Agar Kuch Baato ka Dhyan Rakhe to Apna Phone Chori Hone Se Bacha Sakte Hain. Phone Zyadar Bus Ya  Train Me Chori Hota Hai ya Fir Public Place Par agar Aap Ghar Se Bahar Kahin Bhi Jaa Rahe Hain to Apne Phone Me Earphone Connect Karen or Kam Volume Me Kuch Play Kar De. Isse Chor aapka Phone Chahkar bhi Nhi Chura payega. Agar wo Earphone Disconnect Karega Tab bhi Pakda jayega. Kyunki Earphone Me Music Band Ho Jayega. Ye Sabse Best Tarika hai Jise Mai Khud Bhi Apnata Hun. Ab Zaroori Nahi Earphone Me Aap Song Sune. Aap Agar Bina Music Play Kiye Bhi Agar Kaan me Earphone Laga Lenge To Chor Aapka Phone Churane Ki Himmat Nhi Karega.

Post se Related Koi Comment Hame Niche Likh Sakte Hain. Ham Aapki Help Karenge.
Read More
by · No comments:

Youtube Par Mobile Se Video Kaise Upload Karen

Youtube Ek Large Platform Hai Jahan Par Aap Unlimited Video Upload Kar Sakte Hain. Aap Computer or Mobile Dono Se Video Upload Kar Sakte Hain. Is Post me Aaj Aap Jaanenge Ki Kaise Aap Aasani Youtube Par Jitni Chahe Video Upload Kar Sakte Hain. Iske Liye Apka Phone Me Youtube Ki Application Hona Zaroori Hai. Kyunki Bina App Ke Aap Directly Video Upload Nahin Kar Payenge. Iske Liye Aapko Alag Se Koi Id Nhi Bana Padegi. Single Gmail Account Aapka Har Jagah Kaam Karega. Jo ID apke Phone Ke Playstore Me Dali Hui Hai. Wohi Kaam Karegi. Youtube Upload Video Ko Download Karna Bhi Bahut Aasan Hai.


Mobile se youtube par video upload kaise karen
How to upload video to youtube

Follow these steps.

1. Download Youtube Application From Google Play Store.

2. Iske Baad Apni Gmail ID se Login Karen

3. Login Karne Ke Baad Kuch Is Tarah Ka Page Khulega.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

4. Iske Baad Top Left Me Diye Gye Icon Par Click Karen.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

5. Ye Apka Youtube Channel Page Open Ho Gya Hai. My Videos Par Click Karen.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

    6. My Videos Par Click Karne Ke Baad Apko Video Upload Karne Ka Option Dikhai Dega Kuch Is Tarah

    Mobile se youtube par video upload kaise karen

    7. Uploading Button Par Click Karne Ke Baad Apko Video Select Karna Hai Jisko Aap Upload Karna Chahte Hain. 

    Mobile se youtube par video upload kaise karen

    8. Ab Aap Video Ka Title Or Description Fill Karen or Top Right ne Arrow Button Par Click Karen. 

    Ab apki video upload Ho Rahi Hai. Yahan Aapko Dikhayi Dega Ki Kitni Percent Video Upload Ho Chuki Hai. Jaise Hi 100℅ Complete Ho Jaye. Samajh Lijiye Aapki Video Youtube Par Upload Ho Gyi Hai Ab Aap Video Par Click Karke Usko Play Kar Sakte Hain. Or Agar Kisi Ko Aap Youtube Video Share Karna Chahte Hain to Niche Diye Share Button Par Click Karen. Video Upload Hote Samay Agar Aapke Phone Me Internet Kaam Karna Band Kar De to Koi Baat Nahi Jab Bhi Aap Data On Karenge to Video Uploading Wahi Se Shuru Ho Jayegi.

    Dosto Ye Tha Sabse Aasan Tareeka Jisse aap Youtube Par Koi Bhi Video Aasani Se Upload Kar Sakte Hain. Agar Fir Bhi Apko Koi Problem Aa rhi Hai to Niche Comment Me Likhen Ham Aapki Help Karenge.
    Read More
    by · 2 comments:

    Mobile or Computer Par Hindi Typing Kaise Karen

    Aaj kal Social Networking Websites ke Chalte Insan Din Bhar Typing Karne Me Laga Rehta. Kuch Log Chah Kar Bhi Hindi Me Typing Nahi Kar Pate Isliye Aaj Ham Aapko Batayenge Ki Kaise Aap Hindi Me Fatafat typing kar Sakte Hain. Iska Chhota Sa Process Hai. Aap Hindi Ka Istemal Kisi Bhi Website Me Kar Sakte Hain. Chahen Aap Facebook use kar Rahe Ho Ya fir Whatsapp ye Sabhi Jagah Kaam Karegi.

    Mobile me Hindi type karne ka aasan tarika
    Mobile or Computer Me Hindi Aise Type Karen.


    Mobile Me Hindi Typing Kaise Karen?

    Dosto Mobile Me Hindi Typing Karna Bahut Hi Aasan Hai Aap Koi Bhi Smartphone Use Kar Rahe Ho Aap Hindi me Typing Kar Sakte Hain. Bas Aapka Phone Android Hona Zaroori Hai. Aapke Phone Ke Sath Jo Keyboard Aata Hai Uske Dwara Aap Hindi Aasani Se Type Nhi Kar Sakte. Kyunki Hame Word Find Karna Padte Hain Ham Apko Aisa Tareeka Batane Ja Rahe Hain Jisi Dwara Aap Hinglish Me Kuch Bhi Type Karenge Automatically Hindi Me Likh Jayega.

    Example:- Hindi Education, हिंदी एजुकेशन ।

    Full Guide Hindi Typing On Android Mobile

    • Google Play Store Se Google Indic Keyboard Install Karen.

    Google indic keyboard se hindi type karen

    • Phone Ki Setting Me Jakar Language and Input me Jayen or Google indic Keyboard Ko Default Par Set kar De.

    Google Indic Keyboard Ki Madad Se Aap Kisi Bhi Bhasha Me Aasani Se Typing Kar Sakte Hain. Settings me Jakar Aap Language Change Kar Sakte Hain. Isme Aap Keyboard Ke Background Me Apna Photo Bhi Laga Sakte Hain.

    Mobile se Hindi me likhen easily

    Computer Me Hindi Typing Kaise Karen?

    Laptop Ya Fir Computer Me Hindi Typing Karna Koi Mushkil Kaam Nahi Hai aap Bahut Hi Aasani Se Aap Hindi Typing Kar Sakte Hain. Hindi Typing Ka Use Aap Microsoft Office, PowerPoint, Excel, Photoshop, Corel Draw. Sabhi Software Me Hindi Typing Aap Kar Sakte Hain.

    First Download Google input Tool

    Google me Hindi input Tool Search Karen. Jitni language me Aap Typing Karna Chahte Hain wo Sabhi Language Aap Yahan se Download Karen or Install Kar Le.

    Install Karne Ke Baad Aap Language Change Karke Aasani Se Typing Kar Sakte Hain. Filhal Ke Liye Itna Hi Fir Hazir Honge Ek Naye Topic Ke Sath. Agar Apke Mind me Is post se related koi Doubt Hai to Hame Comment Ke Zariye Bata Sakte Hain Dhanyawad..!
    Read More
    by · No comments:

    Computer Se Mobile Me Koi Bhi File Bina Data Cable Ke Aise Send Karen

    Welcome Guys Www.AllHindiEdcation.in Me Apka Hardik Swagat Hai. Dosto Aaj Main Apke Samne Bahut Hi Zaroori Jaankari Lekar Hazir Hua Hun. Aajkal Lagbhag Hamare Sabhi Ke Pas Laptop Hoga Kyunki Laptop or Computer to insan Ki Zaroorat Ban Gyi Hai. Aaj mai isi se related post aapke samne lekar hazir hua hun. Chalo ab seedhe point par aate hain.

    Mobile to laptop send file without data cable
    Easily Transfer Any File Mobile to Pc over Wifi

    Agar Aap Computer or Laptop Ka istemal Kar Rahe Hain or Aapko Apne computer se apne photos ya koi badi file apne phone me transfer karna hai Ya fir apne phone se koi file computer me lena chahte hain or aap data cable ka istemal nahi karna chahte to ye post aapne bahut kaamki hai. Actually Ham Daily apne phone se koi na koi photo click kar lete hain fir usko laptop me lene ke liye baar baar data cable ka use karna padta hai isliye aapko isse bachne ka tarika batane ja rha hun.
    Follow these steps (in Steps ko Follow Karen)

    1. Apne Phone Se Wifidroid Application Download Karen.

    2. Apne Mobile Phone Ka Hotspot on Kar Den.

    3. Apne Computer/Laptop Ko Mobile ke Hotspot Se Connect kar len.

    4. Wifidroid Application ko Open karen.


    5. Ab Start service par click karen.

    6. Apki Mobile Phone screen par is type ka ip adress show hoga. 


    7. Apne Computer/Laptop me Koi Bhi browser open karen or is Adress ko enter karen.


    Ab Apke phone ka file manager apke Samne open ho gya hai. Yahan aap apne phone se koi bhi file Laptop me aasani se transfer kar sakte Hain. Transfer hi nhi balki apne phone ki koi bhi file aap computer se delete kar sakte hain, or rename bhi kar sakte hain. Is app ki setting me jakar aap password bhi set kar sakte hain.

    Wifidroid Application kaise kaam karti Hai?

    Ye app fully wifi ke dwara kaam karti hai iske dwara aap unlimited file Pc to mobile and mobile to pc easily transfer kar sakte hain. Or apko baar baar data cable connect karne ki problem se bhi chhutkara mil jayega dhyan rhe ye app bilkul free of cost hai Apko Iske liye apko data on karne ki bilkul bhi zaroorat nahi hai.

    Post se related apni queries Hame comment box Me Post karen. Thanks
    Read More