Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Mobile Phone Kho Jane Par Ye Kaam Karen

Dosto Hamare Sath Aksar Aisa Hota Hai Ki Ham Apne Phone Ko Kahi Par Rakh Kar Bhool Jaate Hain, Ya Fir Phone Lost Ho Jaata Hai. Ham Complaint to Likha Dete Hain or Apna Number Bhi Band Kara Dete Hain. Or Haar Maan Jaate Hain. Mai Aapse Kehna Chahunga Koshish Karne Me Kuch Nahi Jaata. Agar Ham Chahen to Kuch Bhi Ho Sakta Hai.

Lost hua phone aasani se jaane
How to Find Your Lost Mobile Phone in Hindi
Agar Aapka Phone Ghum Gya Hai. Ya fir Aap Apne Phone Ko Rakhkar Bhool Gye Hain to Ye Trick Aapke Bahut Kaam Aayegi. Lagbhag Sabhi Log Apne Phone me Internet Ka Istemal Karte Hai or Jab Hamara Phone Kho Jata Hai to Hame ye Dar Laga Rehta Hi Koi Hamari Personal information Ka Misuse na Kare. Jaise Ki Hamara Facebook Account, Whatsapp, Gmail, Photo Gallery, Phone book or Bhi Bahut Saari Jankari jo Aap Kisi ko Share Nahi Karna Chahte.

Aapka Phone Kho Jaane Par Bhi Aap in Tamam Chizo Ko Ghar Baithe  Delete Kar Sakte Hain. Or Apne Smartphone Ka Data Restore Bhi Kar Sakte Hain.

Chori Hua Mobile Phone Aise Dhunde.

Aajkal Technology Bahut Hi Advance Hai. Duniya Me Jitne Bhi Galat Kaam Ho Rahe Hain Uska Solution Bhi Zaroor Hota Hai. Phone Ghum Jane Ki Situation Me Google Aapki Madad Karega. Sabse Pehle Aap Google Me Android Device Manager Karen or First Link Par Jaayen. Ya Fir Yahan Click Karen. Uske Baad Site open Ho Jayegi Yahan Aapke Phone Se Related Bahut Saari Information Dekhne Ko Milegi. Isi Ki Madad Se Aap Apna Khoya hua Phone Search Kar Sakte Hain. Bas Shart Ye Hai Ki Apke Phone Me Internet on Hona Chahiye. Bina Data on Kiye Ye Trick Kaam nahi Karegi. Jab Aap Android Device Manager Par Jayenge to Aapke Phone Ki Location aapko Dikhne lagegi. Or Aap Us jagah Jakar Apna Phone Wapas Le Sakte Hain


1. Sabse Pehle Aapko Ring Ka Option Dikhai Dega. Agar Aap Apna Phone Ghar Me Hi Kahi Par Rakhkar Bhool Gye Hain or Mobile Number Par Call Nahi Lag Rahi to Ring Button Par Click Karen Kuch Hi Der Me Apke Phone ki Ring Bajne Lagegi. Agar Apka Phone Silent Mode Par Bhi Hai to Bhi Aapka Mobile Bajne Lagega or Aap Apna Phone Search kar Payenge.

2. Second Option Lock Ka Diya Hua Hai. Ye Bahut Hi Kaam Ka Hai Jiski Madad Se Aap Apna Khoya Hua Phone Lock Kar Sakte Hain. Jab Aap Lock Button Par Click Karenge Wahan Aapse Password Puchha Jayega Jiski Madad Se aap Phone Lock Kar Apna Data Secure kar Sakte Hain. Chor Jab Phone Churata hai to Turant Phone ko Swiched off Kar Leta Hai. Lekin Jab Bhi Wo Phone On karega or internet Chalane ki Koshish Karega to uska Phone Lock Ho Jayega Fir Koi Apke Phone ko Access Nhi Kar Payega.

3. Third Option Erase Hai. Hamare Phone Ki Security ke Liye Bahut Zaroori Hai. Kyunki Hamare Phone Me bahut Saari Id Login Hoti Hain. Ya fir Kuch Personal Information Save hoti Hai. Jab Aap Erase Par Click Karenge to Apke Phone Ka Saara Data Automatically Delete Ho Jayega. Phone New Ki Tarah Ho Jayega. Fir Aapki Koi Bhi Information Wo Nhi Dekh Payega Jisne apka Phone Chori Kiya Hai.

Phone Chori Ho Jane Par Ye Tareeka Zaroor Apnaye Taaki aap Apna Phone Wapas Pa Sake. Or Apni Personal Chizo ko Secure Kar Sake.

Phone Chori Hone Se Bachne Ka Upay

Ham Agar Kuch Baato ka Dhyan Rakhe to Apna Phone Chori Hone Se Bacha Sakte Hain. Phone Zyadar Bus Ya  Train Me Chori Hota Hai ya Fir Public Place Par agar Aap Ghar Se Bahar Kahin Bhi Jaa Rahe Hain to Apne Phone Me Earphone Connect Karen or Kam Volume Me Kuch Play Kar De. Isse Chor aapka Phone Chahkar bhi Nhi Chura payega. Agar wo Earphone Disconnect Karega Tab bhi Pakda jayega. Kyunki Earphone Me Music Band Ho Jayega. Ye Sabse Best Tarika hai Jise Mai Khud Bhi Apnata Hun. Ab Zaroori Nahi Earphone Me Aap Song Sune. Aap Agar Bina Music Play Kiye Bhi Agar Kaan me Earphone Laga Lenge To Chor Aapka Phone Churane Ki Himmat Nhi Karega.

Post se Related Koi Comment Hame Niche Likh Sakte Hain. Ham Aapki Help Karenge.

0 comments:

Post a Comment