Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Youtube Par Mobile Se Video Kaise Upload Karen

Youtube Ek Large Platform Hai Jahan Par Aap Unlimited Video Upload Kar Sakte Hain. Aap Computer or Mobile Dono Se Video Upload Kar Sakte Hain. Is Post me Aaj Aap Jaanenge Ki Kaise Aap Aasani Youtube Par Jitni Chahe Video Upload Kar Sakte Hain. Iske Liye Apka Phone Me Youtube Ki Application Hona Zaroori Hai. Kyunki Bina App Ke Aap Directly Video Upload Nahin Kar Payenge. Iske Liye Aapko Alag Se Koi Id Nhi Bana Padegi. Single Gmail Account Aapka Har Jagah Kaam Karega. Jo ID apke Phone Ke Playstore Me Dali Hui Hai. Wohi Kaam Karegi. Youtube Upload Video Ko Download Karna Bhi Bahut Aasan Hai.


Mobile se youtube par video upload kaise karen
How to upload video to youtube

Follow these steps.

1. Download Youtube Application From Google Play Store.

2. Iske Baad Apni Gmail ID se Login Karen

3. Login Karne Ke Baad Kuch Is Tarah Ka Page Khulega.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

4. Iske Baad Top Left Me Diye Gye Icon Par Click Karen.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

5. Ye Apka Youtube Channel Page Open Ho Gya Hai. My Videos Par Click Karen.

Mobile se youtube par video upload kaise karen

    6. My Videos Par Click Karne Ke Baad Apko Video Upload Karne Ka Option Dikhai Dega Kuch Is Tarah

    Mobile se youtube par video upload kaise karen

    7. Uploading Button Par Click Karne Ke Baad Apko Video Select Karna Hai Jisko Aap Upload Karna Chahte Hain. 

    Mobile se youtube par video upload kaise karen

    8. Ab Aap Video Ka Title Or Description Fill Karen or Top Right ne Arrow Button Par Click Karen. 

    Ab apki video upload Ho Rahi Hai. Yahan Aapko Dikhayi Dega Ki Kitni Percent Video Upload Ho Chuki Hai. Jaise Hi 100℅ Complete Ho Jaye. Samajh Lijiye Aapki Video Youtube Par Upload Ho Gyi Hai Ab Aap Video Par Click Karke Usko Play Kar Sakte Hain. Or Agar Kisi Ko Aap Youtube Video Share Karna Chahte Hain to Niche Diye Share Button Par Click Karen. Video Upload Hote Samay Agar Aapke Phone Me Internet Kaam Karna Band Kar De to Koi Baat Nahi Jab Bhi Aap Data On Karenge to Video Uploading Wahi Se Shuru Ho Jayegi.

    Dosto Ye Tha Sabse Aasan Tareeka Jisse aap Youtube Par Koi Bhi Video Aasani Se Upload Kar Sakte Hain. Agar Fir Bhi Apko Koi Problem Aa rhi Hai to Niche Comment Me Likhen Ham Aapki Help Karenge.

    0 comments:

    Post a Comment